Roshni ke farishtey

 

Hua Savera
Zameen per phir adab se aakash
Apne sar ko jhuka raha hai
Ki bachhey school ja rahe hai

Nadi mein snan karke suraj,
Sunhari mal mal si paghdi bandhey
Sadak kinare
Khada hua muskura raha hai
Ki bachhey school ja rahe hai

Hawaein Sar sabj daliyon mein
Duwaon ke geet gaa rahi hain
Mehaktey phoolon ki loriyan
Sote hue raston ko jaga rahin hai
Ghanera peepal
Gali ke kone se haath apna hila raha hai
Ki bachhey school ja rahe hai

Farishtey nikley hai roshni key
Har ek rasta chamak raha hai
Yeh waqt wo hai
Zameen ka har zarra
Maa ke dil sa dhadak raha hai

Purani ek chhat pe waqt baitha hai
Kabootaron ko uda raha hai
Key bachhey school ja rahein hai
Bachhey school ja rahein hai.



Nida Fazli is an Indian Urdu poet and lyricist. He has been honoured with the National Harmony Award for writing on communal harmony. He received the Mir Taqi Mir award for his autobiographical novel Deewaron Ke Bich from the Government of M.P. His best known works are: Mor Naach, Ham Qadam, and Safar Me Dhoop To Hogi.

Be first to comment